zindagi kitni choti hoti hai...
Ye us insan se badkar kon samaj sakta hai jo
Pal Pal har Pal uske Khatm hone ke Dard me jeeraha hai...
wo til til apne aap se Lar raha hai..
Is soch main Dhal raha hai ki Waqt Shayad Kam hai...
Us Dar main Daur raha hai apne apno ke sapno ko pura karne ke liye...
Chahta hai Kuch kar ke jaun...ke taklif na ho un aapno ko...
aapni zindagi ka pata nahi kamse kam unki to Savar dun...
Is Dard ka vo akela saathi nahi hai....us ke saath mar raha uska saathi hai...
JO Barabar ka Dard seh raha hai....
Soch raha hai...Jis Safar main Hum saath chale hain...
Use akele kaise nibhaenge......Dar hai kahin Hum kho na jaenge...
Aaj tum ho kal....Kya pata hum kahan jaenge...
Har Waqt maang Raha hai wo tumhe duao main...Kuch Pal aur jod do...
Ke jeena paenge Hum akele in rahon main...
Kitni Badal Jaati Hai Zindagi Us Insan Aur us ke Aapno ki,
Jo Sab Jante Hue Bhi Muskurate Hue Is Dar ke Saath Jeete Hain,
shayad Koi Nahi Samaj Sakta Is Dard ko Sivae Unke Jo US Dar KE Saath Jeete Hain,
Log To Bas baaten Kar Ke Nikal jate Hain....Unhe Kya Pata Khone wale ka Zakhm Kitna Gehra Hai...Jise Waqt Ka Marhum Bhi Bhar Nahi Kar sakta...